The concept of Dua in Islam
Roman English Version
Islam Mein Dua Kya hai?
You have obviously heard of dua a lot of times if you are a Muslim? Dua is the essence of worship (Ibadah). A dua made by a Muslim for another Muslim brother or sister is readily be accepted. A Dua is the most powerful weapon of the believer in Islam.
“And your Lord says: Call upon Me, I will answer you; surely those who are too proud for My service shall soon enter hell abased.” (Surah Al Mu’min, 60)
Our Blessed Prophet SallALLAHU Alayhe Wasallam has stated that “Du’a” is the essence of worship!
(Tirmidhi)
Apne rab ko pukaro aur usi se apne dil ki baat kaho ki dil itna bechain kyu hai?
Wahi pukar sunne wala hai aur wahi to hai jo chain-o-sukoon dene wala hai. Wahi tamaam jahan ko banana wala hai aur wahi sab ka maalik Al-Khallaq Al-Khaliq hai. Usnay hi har ek shay ko banaya. Wahi to shay-in-qadeer hai. Aur usnay hi insaan ko aql di. Aur usi ko sabse se afzal banaya jo ki ashraful makhlooqat hai. Insaan apni zindagi bashar kartay hue kayi muskilat say guzarte jata hai. Insan ko tamam apni khwahish sab mansha ke mutabiq jinay ki aadat ho jaate hai aur apni hi hasraton mein ghir kar unka ghulam ho jata hai jis mein shaitan apni tamaam chaalo say uski madad karta hai beshaq shaitan to insaan ka khula dushman hai: .
Surah Yusuf Ayat #5
Inna alshshaytana lilinsani ‘aduwwun Mubeenun
Verily! Shaitan (Satan) is to man an open enemy!
شیطان انسان کا صریح دشمن ہے
बेशक़ शैतान इंसान का खुला दुश्मन है |
Wah to logo ki bhalai dekhkar hi apnay hi jaal mein fasata hai. Jab insaan usko hasil karna chahta hai. Aur wah seedhi rah se hasil na ho to uske husool ki tamam koshishe karta hai ke ALLAH ke bargaah mein apni us khwahishat ko apni us zuban mein bayan karta hai jis zuban ko wah janta hai. ALLAH to tamaam zubano ko insaan ke boli ko aur uske haal ko, uski neeyat ko jo wah zahir karta hai aur jo wah chhupata hai, sab ko janta hai. ALLAH Ta’ala tamam ‘ilm ko janne wala hai ‘Aalim-ul-Ghayb hai. Dua kya hai aur iske husool jaaniye inki pecheedgi.
Insani Khwahishaat Aur Dua
Human Desires and Making Prayers
Insaan ki jo khwahishat puri nahi hoti uske mansha mutabiq uska aacha natija jo wo chahta hai wah nahi milta to us ke nahi milnay ka sadma kar beth ta hai. Kya usko talab karnay ki koshish jaari rakhta hai achay ya bure ke fer mein parh jata hai jis mein wo apni bhalai samajh kar wah uskay haq mein hai ya nahi usko insaan nahi jaan sakta. ALLAH ke samnay jo pukar ki gayi us baat ka accha ya bura natija baad mein aata hai yaani ye baat ghayb mein chupi hui hai aur ALLAH Ta’ala tamam ghyaib ke baato ko raazdar hai insaan ke manshao ki in pukaaro ko beshaq ALLAH Ta’ala janta hai.
Kya tumhare haq mein hai aye insaan aur kisme tumhara bura hai, is ‘ilm ki taaqat tumhare dimaagh ko nahi bakhshi gayi thi, chunanche tum sahi aur ghalat ke darmiyan ek farq bhi na pata laga paoge.
Ye sab uskay ikhtiyaar ki baatein hai qubul karnay ka matlab insaan ke hasb-e-talab mansha puri ho jaana ye maangi gayi dua ke un alfazo ki neeyat ke natijay hai, jo puri hui. Agar dua puri nahi hui to fir dua mein bole gaye alfaaz mein garbar hai ya fir niyat mein insano ke fitrat. Ya fir uska natija us ke haq mein behtar na hoga, to jo unhone manga tha wo unhe kyokar na mil paya.
ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala farmate hai dua qubul karta hu pukarnay walo ki-
Surah Baqar Ayat #186
Wa-iza sa-alaka ‘ibadee ‘annee fainnee qareebun ojeebu da’awata-aldda-‘i iza da’aani falyastajeeboo lee wal-yuminoo bee la-‘allahum yarshudoona
And when My servants ask you, [O Mu’hammad], concerning Me – indeed I am near. I respond to the invocation of the supplicant when he calls upon Me. So let them respond to Me [by obedience] and believe in Me that they may be [rightly] guided.
اور جب آپ سےمیرے بندے میرے متعلق سوال کریں تو میں نزدیک ہوں دعاا کرنے والے کی دعا قبول کرتا ہوں جب وہ مجھے پکارتا ہے پھر چاہیئے کہ میرا حکم مانیں اور مجھ پر ایمان لائیں تاکہ وہ ہدایت پائیں
और जब आपसे मेरे बन्दे मेर मुत’आल्लीक़ सवाल करे तो में नज़दीक हूँ| दु’आ करने वाले की दु’आ क़ुबूल करता हू| जब वह मुझे पुकारता है फिर चाहिए के मेरा हुक्म माने और मुझपर ईमान लाए ताकि वह हिदायत पाएं|
Dua ka Tareeqa aur Qubuliyat
How to Pray in Islam and it’s Acceptance
ALLAH Ta’ala nay insaan ko kamzor banaya saath hi usay honsla aata farmaya hai. Jab hum apni zindagi mein kabhi bhi kisi bhi maamlay mein kamzor ho jaate hai ya kamzor parh jaate hai to hum ALLAH Ta’ala say faryaad karte hai aur ALLAH Ta’ala hamay honsala aur taaqat farmata hai wahi barhi taaqat wala aur barhi kudrat wala hai.
Jab aadmi ko takleef pahuchti hai aur wah hamein pukarta hai. Lete aur bethe aur khade. Is takleef ko jab dil ki gehraiyo se mehsoos karta hai to ALLAH Ta’ala ke samne rota hai aur girgirata hai. Aur esi surat mein uski takaleef uske qalb se uske alfaz bankar nikal parhte haibehte hue ansuo ke saath, gunaaho ki nadaamat ke saath. Kha le qasam ae insan ke ab firse wahi gunaho mein khudko mubtila na karega.
Du’a karnay walay insaan ko nek aur imandaar hona chaaye kyonke neki aur bhalai karnay wale hi acchi duwaye karta hai. Jis mein khud ke alawa insano ki bhalayi mangta hai aur unki dua ALLAH Ta’ala zarur sunta hai. Aur neki karnay walo say ALLAH Ta’ala ulfat rakhta hai kise be ranj say nijat paanay ka zariya hai ye dua. Aur imaan walo ko unkay ranj say nijaat deta hai. Dua ko qubul farmakar wahi apnay bando ki madad ke liye jiske siway beshaq koi aur sunne wala, nijaat dene wala nahi. ALLAH Ta’ala ke siwaye bhala kaun hai jab muztar usay pukare to dua qubul karta hai aur musibat ko dur karta hai.
Surah Al Naml Ayat #62
أَمَّن يُجِيبُ الْمُضْطَرَّ إِذَا دَعَاهُ وَيَكْشِفُ السُّوءَ وَيَجْعَلُكُمْ خُلَفَاءَ الْأَرْضِ ۗ أَإِلَـٰهٌ مَّعَ اللَّهِ ۚ قَلِيلًا مَّا تَذَكَّرُونَ
Amman yujeebu almudtarra iza da’aahu wayakshifu alssooa wayaj’alukum khulafaa-alardi a-ilahun ma’a ALLAHi qaleelan ma tathakkaroona
Is He [not best] who responds to the desperate one when he calls upon Him and removes evil and makes you inheritors of the earth? Is there a deity with ALLAH? Little do you remember.
بھلا کون ہے جوبے قرار کی دعا قبول کرتا ہے اوربرائی کو دور کرتا ہے اور تمہیں زمین میں نائب بناتا ہے کیا الله کے ساتھ کوئی اور معبود بھی ہے تم بہت ہی کم سمجھتے ہو
भला कौन है वो जो क़रार की दुआ क़ुबूल करता है | और बुराई को दूर करता है | और तुम्हे ज़मीन में नायब बनाता है | क्या अल्लाह के साथ कोई और मा’अबूद भी है | तुम बहुत ही काम समझते हो|
Sabr aur Dua kya hai?
What is Patience and Prayer in Islam?
ALLAH Ta’ala ke baarghah mein jab apni tamnna bayan kar di jaate hai to us tamanna ke pure hone yaani usko qubuliyat ke natijay saamnay aanay tak ka intezaar karna chaahiye jis mein ye shart bhi shamil hai ke sabr ke saath intezaar karay kyonke uskay natijay ghayb mein chhupay hai aur jo kuch be milega wah sab aasman say aata hai Rabbul ‘Alameen say hi maangna chaahiye wahi khilata hai aur wahi pilata hai aur tumhari rozi aur jis cheez ka tum say wada kiya jata hai aasman mein hai.
Surah Adh-Dhaariyat Ayat #22
وَفِي السَّمَاءِ رِزْقُكُمْ وَمَا تُوعَدُونَ
Wafee alssamai rizqukum wama too’adoona
اور تمہاری روزی آسمان میں ہے اور جو تم سے وعدہ کیا جاتا ہے
और तुम्हारी रोज़ी आसमान में है और जो तुमसे वडा किया जाता है |
Is Surah mein ek zabardast kism ki chaabi hai jis mein ALLAH Ta’ala bhi apne rahmat ke darwazay khol deta hai ab jis ko jaisa faiz chaahiye faiz hi faiz milta hai. Hum ko sab kuch ataa karnay wala wahi mu’uti hai uski hamd-o-sana karna uskay naamo say pukaarna uski taarif bayaan karna usi ka khauf khana uski panah mein rahna. Tammana zahir karna ye sab duao ke us daayre mein lay jaate jahan say jannat ke asbab nazar ate hai aur haqdaar bana dete hai, aur dozaq ke sakhtiyon say baacha lete hai.
Halan ke zindagi mein jin marhalo say paar nahi ja paye to unhe ALLAH Ta’ala ke supurd kar dayna chayee aur aajizee ikhtiyar kar leni chahiye balki dua hum ko ye bhi sikhati hai apnay jazbato ko kis gudaaj tariqay say uski baargah mein paysh karni chahiye duao mein ALLAH Ta’ala hamari niyat ko dektha hai.
Tamaam khwahishat, hasraat ka ek saath ikatha kiya hua alishaan guldasta wah ALLAH Ta’ala ke baargah mein banda pesh karta hai. Aur tum to saare jaha ke palnay walay ALLAH Ta’ala ke chahnay ke baghair kuch bhi nahi sakte (Surah Taqbir Ayat #29). Neki karnay walo ki duayein bhi nek ban jaati hai aur usi jazbe ko ALLAH pukaara karein to acchi natijay miltay hai. Aag bhi thandi ho gayi wah Hazrat Ibrahim Alayhis Salam ko aanch tak nahi aanay di kyonke jo log parhezgar hai aur jo log nek daar hai ALLAH Ta’ala unka saati hai (Surah Nahal Ayat #128) nek amal say hi paak duayein banti hai aur paak duayon ko ALLAH Ta’ala suntan hai paak duwao say ALLAH Ta’ala kabhi kisi bhi shay ko koi nuksan nahi hone deta hai.
Duayein Hamare Haq Mein Behtar ha ya Nahi?
Whether Prayers are in our Favor or Not?
ALLAH Ta’ala “Quddoos” hai.
Har ‘ayb say paak hai aur uski baargah mein tamaam be ‘ayb bey daagh pukaari jaane wali duayein hi qubool hoti hai. Magar jo ALLAH Ta’ala farmata hai yaad rahe aur unke qarib koi baat buri lagi hai aur tumhare haq mein behtar hai aur qarib hai. Jo baat tumhi buri lage aur wo tumhare haq mein behtar hai aur ALLAH Ta’ala janta hai aur tum nahi jaante. (Surah Baqar Ayat #216).
Nek aur imaan wale bando ke wah awaz hai jo paak lafzo say banti hai aur parhezgaari ke saat sadik dil say ada hoti hai. Ye ALLAH Ta’ala ke baargah mein ke jaane wali wo tasvir hai jise hoor malaika jinnat bashar yaha tak ke har cheez jo zameen mein hai aur aasmano mein hai sab ALLAH Ta’ala ka zikr karti rahti hai aur wahi ghaalib wahi barhi hiqmat wala hai. (Surah Hashar Ayat #1) noor say faili hui roshni hi dua hai ye ek aise roshni hai ke jis ke liye yahi dua ki jaate hai to wah roshni usi ki taraf hi jaate hai ke jiske leye ye dua ki jaati hai.
To ALLAH Ta’ala ke samnay paysh honay wah usay apnay tak rubaru honay ka ek zariya hai. Jisay uski qudrat wah taqat ka aur tamaam baato ka andaaza hota hai aur ALLAH Ta’ala hi khol-khol kar samjanay wala hai. (Surah Ma’aida Ayat #116) duao mein hi ghayb ke tammam khazanay chupay hue hai aur un chhupay hue khazano ko dundnay ka zariya hi dua hai. Dua karke hi hum un ghaybi khazano ko paa sakte.
Ghayb ki aksar baatein humay malum ho sake ALLAH Ta’ala say mangna hi dua hai dua karkay hi hum ALLAH Ta’ala say mangtay hai. Aur ALLAH Ta’ala humei apne ghayb say dayta hai aasman say dayta hai aur humay ghayb kuch be ‘ilm nahi hai ke jo hum nay manga wah humare haq mein hai ya nahi humarai haq mein nahi hoto usay ALLAH Ta’ala ata nahi karta. ALLAH Ta’ala humay nahi ata farmata jo hamare haq mein nahi magar ho sakta hai aur hamaray dilon ko nuksan wali sadme wali lagay. Aur ALLAH Ta’ala sab se bayhater baat ka jaanay wala hai duwa ghayb say maangi gayi ek madad hai jo ALLAH Ta’ala say chai jate hai aur wahi ghayb say madad karnay wala hai ALLAH Ta’ala ko uskay naamo say pukaro uskay naamo mein tamam duayein chhupi hui hai aur un mein bahut badi barkat hai inhi say insaan tamaam aanay wali musibat, pareshaniyan zulm dil ke bechaini aasmani zamini aafatay tal jaati hai.
Dur ho jaati hai mit jaati hai naist-o-na’abud ho jaati hai sab duayein to ghayb ke wo khabre hai jinhe hamari aankhe ghayb mein nahi dekh sakti ye sab uskay ahatay mein hai aur wahi hamari taraf inhe bhejta hai aur jaankari deta hai yaani insaan to har mamlay mein bahut adna hai usko ALLAH Ta’ala hi har ‘ilm ata farmata hai.
Adami kamzor banaya gaya (Surah Nisa Ayat #27) to fir aadmi ko jo kuch be milta hai ALLAH Ta’ala keKun fayakun (“Be,” and it is) say mil jaata hai.
Jazbaati hasraat say duao mein ek tasir paida hoti hai aur ALLAH Ta’ala bahut qarib hai unko sunnay ke liye aur fir ye ghyab ke khabar hai jo hum tumhari taraf wahi karte hai Surah Yusuf Ayat #102 hamari duayein paida hoti hai aur ALLAH Ta’ala bahut qarib hai unko sunne ke liye fir aisi hone chahiye ke kisi dusray ko kisi tarah nuksaan ya bura nahi ho. Dua har hal mein paak honi chahiye.
Dua say insaan ke kiye gaye tamaam qusoorr, zulm aur nuksaan sab ki maghfirat ho jaati. Insaan dil ko taqat inhi milti hai. Uske tamaam nuksaan pure ho jaate hai aur wahi har nuksaan ka pura karnay wala hai tamaam duayein Huzur SallALLAHU Alayhe Wasallam ke sadqa\eh aur tufail say hi maangi jaati hai jinhe ALLAH Zille Shanahu zarur qubul farmata hai, basharte ke jayaz ho. Wahi Ummah ko ALLAH Zille Shanahu ki taraf sidhi rah dikhane wale hai aur ALLAH hi ki taraf bulane wale hai, kyonke hum sabko beshaq ek yawm ALLAH Azzawajal hi ki taraf laut kar jana hai, aur roz-e-qayamat ko ek din zarur ana hai, Ameen.
ALLAH Subhanahu Wata ‘Ala hamari tamaam ghaltiyo aur gunaaho ko mu’aaf kare, humein bakshe, siratal mustaqeem ka rasta asaan farmaye aur hum sabka maqam jannat-ul-Firdaus mein banaye, Ameen. Download free Monthly Pregnancy Chart for Islamic Women from here.
Comments
Post a Comment